08

Muh dikhai

Dono ne hi namaz padh liye the ,Arsal sofa par baithkar apna mobile chala raha tha or Faiza tasbih padh rahi thi ,kamre main tahalte hue .

" Tum namaz kyun nahin padhte " Faiza ne Arsal ke saamne Rukh kar pucha .

" To abhi maine kya padha use namaz nahin kehte " Arsal ne chaukte hue jawab diye ,uska pura dhyan abhi bhi mobile par hi tha ,bas wo Faiza ka aawaz sunkar jawab de Raha tha .

" Ham iss namaz ki baat nahin kar rahe hai ,ham har waqt ki namaz ki baat kar rahe hai ,jaise Fazr ,Zohar ,asar , magrib,Isha in sab namaz ki baat kar rahe hai "Faiza ne kaha .

Arsal apne mobile ko sofe par rakh kar Faiza ki traf dekhta hai .

" Maine padhta hun ,maine pura ramzan namaz padha hai " Arsal ne jawab diya .

" Or uske baad kab padhe ho namaz " Faiza ne Arsal ki traf chok kar dekhte hue pucha .

" Eid ka namaz" Arsal ne kaha .

"Or uske baad "Faiza ne pucha .

" Abhi just to padha hun tumhare sath bhul gai ,itna jaldi" Arsal ne kaha.

" Hame yaad hai or namaz ramzan ya eid ke liye nahin bana hai wo to har din ke liye bana hai " Faiza ne kaha .

" Ha main jumma ka bhi namaz padhta hun ye batana bhul gaya tha" Arsal ne kaha .

" Kyun jumma ke namaz main aisa kya special hai ,jo tum sirf wahi padhte ho or din ka nahin padhte " Faiza ne pucha .

" Jumma ka namaz jumma ka namaz hai special hai " Arsal ne kaha .

" Ha ham bhi jaante hai jumma ka namaz jumma ka hi hai kisi or ka nahin or jumma ke namaz main aisa kya special hai " Faiza ne pucha .

" Special hai to hai , kyun hai wo kyun jaana ,or tumhe kya problem hai main agar namaz padhta hun to " Arsal ne pucha

" Hame tumhare namaz padhne se nahin sirf jumma ke namaz padhne se problem hai ,namaz namaz hota hai tumne to usko bhi special or non special main baat diya ,tum ab har waqt ka namaz padhoge " Faiza ne thore zor alfaz main kaha .

" Accha padh lunga ab mera dimag khana band karo or asal main khana khane chalo " Arsal ne sofe par se uthte hue kaha or bahar jaane ke liye jaa raha tha tab Faiza ne uska haath pakar liya .

" Ab kya hai bola na yaar padh lunga namaz " Arsal ne chidhte hue kaha .

" Namaz to tum padhoge hi lekin tumhe nahin lagta tum kuch bhool rahe ho " Faiza ne muskurate hue pucha .

" Nahin, kya bhool raha hun " Arsal ne kaha ,Faiza ne uska hath chor diya or use aankhein bari karke dekhne lagi .

" Hamari muh dikhai" Faiza ne kaha .

" Kiski muh dikhai" Arsal ne haste hue kaha.

" Hamari or kiski hamari shadi hui hai tumse or kiski hui hai jo aise puch rahe ho " Faiza ne apne dono hath kamar par rakh kar Arsal ko nigahein bari karke dekhne lagti hai .

" Nahin ,par main tumhe muh dikhai kyun dun " Arsal ne pucha .

" Are muh dikhai har dulhan ko milta hai uski shadi ki raat par or hame bhi chahiye "Faiza ne kaha .

" Seriously,main tumse koi mohabbat nahin karta hun jo main tumhe tumhari muh dikhai dunga so ,apni khwabon ki duniya se bahar aajao " Arsal ne kaha

"Tum hamse mohabbat nahin karte ye hamara masla nahin hai ye tumhara hai ,so ham kuch nahin jaante hame hamara muh dikhai chahiye matlab chahiye " Faiza ne kaha .

" Or agar nahin dunga to " Arsal ne pucha .

" Ham tumhara recording sabko suna denge " Faiza ne kaha .

" Mera recording " Arsal ne na samjhte hue pucha.

" Ha , tumahari recording,wo kya hai na jab tum hame uss din restaurant milne ke liye bulaye the na hame laga tum nikah torna chahte ho or isliye hame bulaya hai taki nikah torne ka ilzam ham par laga sako isliye ham apne mobile ka recording chalu kar diye the ,tumse milne se pahle ,or usmein sab record hai ki tumne hamse nikah kyun kiya hai or tumne sabse jhoot kaha hai ki tum hamse mohabbat karte ho " Faiza ne haste hue kaha .

" Tum , tumhara masla kya hai " Arsal ne chillate hue kaha .

" Hamara masla kuch bhi nahin hai bas tum ek acche shauhar ki trah hame hamara ek accha sa muh dikhai de do or kuch nahin " Faiza ne kaha .

" Maine kuch nahin laya hai tumhe muh dikhai dene ke liye" Arsal ne kaha .

" Hame pta hai ,par koi baat nahin tum hame kal to de sakte ho " Faiza ne kaha .

" Accha bolo kya chahiye " Arsal ne kaha .

" Ham jo bolenge do ge hame " Faiza ne kaha .

" Pahle bolo kya chahiye uske baad hi sochunga " Arsal ne kaha .

"Nahin pahle hamse waada Karo ki tum hame wo do ge hi" Faiza ne kaha .

" Waada kyun karun, pahle tum bolo to kya chahiye ,main de bhi paaunga ki nahin ," Arsal ne kaha

"Tum kal se pure paanch waqt ki namaz padhoge ,bina koi bahana banaye ,bolo karoge " Faiza ne kaha .

Arsal uski baatein sunkar hasne laga .

" Jao diya tumhe muh dikhai main padhunga namaz or ek waqt ka bhi miss nahin karunga ,I promise " Arsal ne haste hue kaha .

" Yaad rakhna bhulna nahin or apni baat se mukarna bhi nahin " Faiza ne kaha .

" Ha ,begam sahiba ,waise tum apne liye jo maangna chahti thi maang sakti thi par ye kyun maanga " Arsal ne pucha .

" Hame jo chahiye ham wo khud le sakte hai hame kisi se maang ne ki jarurat nahin hai or hamne ye isliye maanga ki ham akele jannat main kyun jaaye apne shauhar ko chor kar so tumhe bhi sath le jaane ka plan hai " Faiza ne kaha .

" Oo to ye plan hai ,waise tumhe kisne keh diya ki tum jannat main jaaogi ,tumhare aamaal hai jaanat main jaane wale " Arsal ne kaha .

" Ham or tum kon hi hote hai kisi ke aamaal ke baare main batane wale ,or kon jannat main jaayega wo to marne ka baad hi pta chalega par fir bhi namaz na padhna ye bohot bara gunah hai kam se kam is gunah ke azaab se to bachoge . Or tumhe aisa kyun lagta hai ki mere aamaal jaanati nahin hai " Faiza ne kaha .

" Apne shauhar ka izzat karti ho , shauhar hun yaar thori izzat karlo meri " Arsal ne kaha or Faiza hasne lagi .

" Accha kya izzat karun pair daba dun ,ya sir, sabse accha gala daba ,kya kehte ho " Faiza ne haskar jawab diya .

" In sab ki jarurat nahin hai bas tum aap ,jii karke mujhe bola Karo or kuch nahin chahiye " Arsla ne muskurate hue kaha .

" Accha jii aapko bhook nahin laga hai ,hame to laga hai hamne kab se khaya nahin hai aap chalenge jii " Faiza ne Arsal ki baaton ka mazak banate hue kaha .

" Chalo or apna ye jii band karo ajeeb lag raha hai " Arsal ne kaha .

" Jii aapne to kaha hai jii bolne ko ham aapki baat kaise na maane jii" Faiza ne kaha .

" Nahin please tum waise 'tum' karke bolo ,tum 'tu' karke bhi bol lo par ye bolna band karo please " Arsal ne Faiza ke saamne hath jor kar kaha .

" Chalo ,Arsal Alim" Faiza ne kaha .

" Ha chalo " Arsal ne jawab main kaha .

" Waise tumhare naam main Alim kyun lagta hai " Faiza ne sidhi utarte hue pucha .

" Baad main pura history bata dunga abhi ke liye apna muh band rakho or chalo jaldi " Arsal ye bolkar Faiza ka hath pakar kar jaldi utarne lagta hai.

Write a comment ...

hideworld

Show your support

Just deal with my imagination 😉

Write a comment ...