06

Begam Sahiba

Na jaane kyun wo Faiza se milega wo ,ye soch kar khush ho raha tha .

Usne jacket pehne ,perfume lagaye ,or apni bike ki chabi lekar nikal para restaurant jaane ke liye .

Or dusri taraf Faiza na chahte hue bhi usse Milne jaa rahi thi,use iss baat ka dukh tha par wo apni ammi jaan ki baat maan kar jaa rahi thi ,wo na bhi nahin keh sakti apni ammi ko wo unka udaas chehra nahin dekh sakti ,or uska kaaran to kabhi nahin Banna chahti.

Wo naqab lagakar , dupatta ko pahen kar bas apne chehre ko nahin dhaki aaj wo .

Wo bhi nikal gai apni car lekar .

Jab Faiza pahuchti hai to wo Arsal ko dekhti hai wo usse pahle hi pahuch gaya tha ,lekin wo apne mobile par laga hua tha ,uska uspar dhyan nahin gaya.

Wo uske table ke yahan par jaakar khari ho jaati hai

" Assalamualaikum" Faiza ne salam kiya or uski aawaz sun kar Arsal bhi apne mobile ke duniya main se bahar aaya .

Wo apna Mobile table par rakhte hue jwaab deta hai

"Walikum assalam,baitna nahin hai ,tum abhi tak khari hi ho ya mere ijazat ka intezar kar rahi thi " Arsal ne halka muskurar kaha .

" Tumhare ijazat ka intezar to ham hamare khwab main bhi na kare ,ham to ye soch rahe the ki agar tum apne mobile main ki hi Duniya main rahoge to hame wapas jaane ka mauka mil jaayega or kuch nahin " Faiza ne baithkar jawab dete hue kaha .

" Kyun tumhe mujhse nahin milna tha " Arsal ne pucha .

" Hargiz nahin hame tumhara shakal rukhsati ke baad to jhelna hi parega ,na chahte hue bhi or ham rukhsati se pahle shauk se nahin chate tumhe dekhna " Faiza ne karwi andaaz main jawab dete hue kaha .

" Tum sab se itna izzat se baat karti ho , mujhse itna chid mar kyun baat kar rahi ho , shauhor hun thori izzat hi kar lo " Arsal ne kaha .

" Ham izzat se sirf unse hi baat karte hai jo uske laayak hai ,tum jaise se nahin ,ab bologe bhi ki kyun bulaya hai " Faiza ne kaha.

" Kal tumhari rukhsati hai " Arsal ye bol hi Raha tha tabhi Faiza uske baat ko katte hue kahi

" hame bata rahe ho ya hamse puch rahe ho " Faiza ne pucha .

" Tumhe bata raha hun " Arsal ne jawab main kaha.

" Tumhe kya lagta hai hame hamara hi rukhsati ka nahin maaloom hoga jo tum bata rahe ho " Faiza ne chid kar bola .

" Ek kaam Karo tum na thanda paani pi lo ,uske baad baat karna ,pta nahin kahan ka gussa mujh par utar Rahi ho " Arsal ne kaha

" Hame koi paani nahin Pina tum ye bako ki hame kyun bulaya hai " Faiza ne kaha.

"Izzat se, tumhara shauhor hun yaar ,Thora izzat hi kar lo " Arsal ne kaha

" Tumne Aisa koi kaam kiya hai aaj tak jiske wajah ha ham tumhara izzat kare " Faiza ne kaha.

" To maine aisa bhi koi kaam nahin kiya hai jiske wajah se tum mera izzat na karo" Arsal ne kaha

" Accha nikah ke liye jhoot kisne kaha tha" Faiza ne kaha .

" Konsa jhoot" Arsal ne na samjhte hue pucha .

" Ab dekhi hamare saamne itne maassom ban rahe hai janab, tumne ye jhoot nahin kaha ki tum hamse mohabbat karte ho or hamari wajh se Lahore aaye ho" Faiza ne Thora zor lafzo main kaha.

" Oo to tumhe pta hai ki main tumse mohabbat nahin karta " Arsal ne kaha.

" Ha hame acche se pta hai tum hamse koi mohabbat nahin karte ,pta nahin ab kon se adventure ke liye hamse nikah kar liye ho ,or tumhara yahi jhoot hame tumhara kabhi izzat nahin karne dega to tum hamse kabhi izzat ki baat to sochna bhi mat " Faiza ne kaha.

"Well no doubt tumse nikah ek adventure se kam nahin hai ,lekin main ye adventure main interest nahin hoon main to sirf apne ammi ,abbu ki nazar se tumhe girana chahta hun itna ki tumhara naam bhi unke zabaan par mohbbat se naa aaye " Arsal ne kaha.

" Oo to ye wajah se tumne jhoot bola ,hamse nikah ki " Faiza ne kaha

"Or kya " Arsal ne kaha.

" Pta hai tum na bewakoof ho bohot bare waale " Faiza ne kaha .

" Excuse me " Arsal ne kaha.

" No need of excuse mister ,ye baat tum jitna jaldi Maan lo utna hi jaldi tumhara or hamara zindagi aasan ho jaayega , kyunki tumhari bewakoofi ki wajah se tum hamse nikah kar liye or hamne bhi na nahin kaha, bewakoof"Faiza ne kare lafzon main kaha.

" Tum ye bewakoof kehna band karo , or koi baat nahin tumhara hamse nikah ho bhi gya to kya ,bas ammi tumse nafrat karne lagegi to uske baad talaq se dunga tum bhi aazad or main bhi " Arsal me kaha.

" Tumhara dimag sahi bhi hai hamara thore din pahle nikah hua hai or rukhsati bhi nahin hua or tum hame talaq dene ki baat kar rahe ho ,ab to tum talaq dena chaho bhi to ham nahin denge ,jhelo mujhe zindagi bhar ke liye " Faiza ne kaha.

" Ye sahi hai ab to main bhi nahin dunga talaq ab main to mujhe bhi ye adventure main interest aa gaya " Arsal ne kaha .

" Waise tum bakwaas ke alawa bhi kya kaam karte ho ,waise ham internship kar rahe hai mbbs main " Faiza ne kaha .

" Well not bad ,maine to timepass ke liye hacker ka course Kiya hai par sirf time pass ke liye but in reality main pakistan main parfume ka business karunga mera setup to ha gaya hai kuch din main hi start karunga " Arsal ne kaha.

(Author: mujhe hacker ke baare main kuch nahin pta uska course hota hai ya kya so please sorry agar galat likha ho to but it's just imagination).

" Tumne time pass ke liye hacker ka course Kiya tum sach main bewakoof ho ,koi apna time aise course main kaise waste kar sakta hai jiska usko mustaqbil main kaam hi na ho tum kuch or kar lete ,kher apni marzi ,all the best tumhare business ke liye,Allah tumhe halal ke paise kamane ki taufiq de" Faiza ne kaha .

" In sha Allah,or tum mujhe baar baar bewakoof bolna band karo " Arsal ne kaha .

" Chalo tumhara bakwaas ho gaya ho to ham jaa rahe hai " Faiza ye bol kar khari ho gayi .

" Main tumhe drop kar dun" Arsal ne bhi khare ho kar bola .

" Nahin ham apne car se aaye hai ham chale jaayenge khud se ,tum Ghar jaao or hamare istaqbaal ka tayyari Karo " Faiza ne bola .

" Jii begam sahiba aapke hi aane ka istaqbaal hoga " Arsal ne halke muskan ke sath kaha .

" Not bad ,aise hi bulaya karo hame ,izzat se " Faiza ne bhi haste hue kaha .

" Jii or aap ham bewakoof kahe or ham aap ko izzat se bulaye " Arsal ne kaha .

" Kyunki tu hi or kuch nahin ,ham jaa rahe hai Allah hafiz" Faiza ye bol kar nikal gayi .

Uske piche Arsal bhi jaane ke loye nikal raha tha .

" Byee begam sahiba,Allah hafiz" Arsal ne apne bike par se chillate hue kah

a or chala gaya ,car main baithi Faiza bhi smile kar ne lagi uski uss bachgani harkat par .

Write a comment ...

hideworld

Show your support

Just deal with my imagination 😉

Write a comment ...