Un dono ka nikah ho gaya tha ,dono hi iss nikah se nakhush the par kisko bataye ,iss nakhusi ka kaaran ,kyunki dono ke nakhusi ka kaaran dono khud hi the .
Isha ka waqt tha ,sab Isha ka namaz padh rahe the ,us namaz main ek baar fir Arsal ka zikr tha ,najaane wo Arsal ke liye bechain thi ya khud ke liye .
"Ya Allah ,hamare zindagi ko barbaad mat hone dijiyega,or uss barbaadi ka karan iss nikah ko to kabhi mat banne dijiyega. Hame hamari ammi ne nikah se pahle khushi se bataya tha key Arsal hamse mohabbat karta hai ,par ham jaante hai wo hamse mohabbat kabhi nahin kar sakta hai na jaane wo iss nikah je liye razi kyun hua or wo bhi ye jhoot bol kar key main usko mohabbat hun,ye jhoot bolkar wo khud ki bhi or hamari bhi zindagi barbaad kar raha hai . Wo hamse pahle to kya abhi bhi mtlb nikah ke baad bhi hamse mohabbat nahin karega ,ya parwardigar use taufiq aata farma nek raste par chalne ki ameen " Faiza ne apne duaon main apni saari Dil ki keh di apne Allah se .
Eid beet gaye the or Faiza ka rukhsati ka din bhi qareeb aa gaya tha .
Shaam ka waqt tha ,Mumtaz begam hall main baithkar chai pe rahi thi tabhi unko kisi ka call aaya,
"Assalamualaikum bhabhi " ye kisi or nahin Nazila begam ka call tha .
"Walikum assalam khairiyat se hai bhabhi" Mumtaz ne jawab dete hue pucha .
"Jii Allah ke karam se sab khairiyat hai or hoga bhi kaise nahin kal hamare ghar main hamari Bahu aa rahi hai , hamari raunaq " Nazila begam ne khushi se kaha .
" Mashallah,Allah aapke khushi ko nazar na lagne de " Mumtaz begam ne bhi khushi se jawab diya .
" Waise hame kuch kaam tha " Nazila begam ne hichkichahat se kaha.
"Ji, bejijak batiye apko koi kaam main madad chahiye "Mumtaz begam ne kaha.
" Ji nahin kaam main to nahin chahiye par ,wo Arsal Faiza se rukhsati se pahle milna chahta hai or ghar par nahin bahar koi restaurant main ya kahin or ,wo bhi aaj " Nazila begam ne kaha.
" App thori der rukiye ham Faiza se puch kar batate hai hame nahin lagta wo uss baat ke liye razi hogi ,par ham ek baar fir bhi puchte hai " Mumtaz begam ne kaha or call cut kar di .
Faiza kitchen main kuch kaam kar rahi thi tabhi hi Mumtaz begam aati hai par kuch nahin bolti bas wahi khari reh kar Faiza ke murne ka intezar karti hai .
Faiza ko kisi ke hone ka ehsas hota hai wo piche ghumti hai tab apni ammi ko wahan chupchap khari dekti hai .
" Ammi jaan aapko koi kaam hai ,app hame bataiye" Faiza ne narmi se apni ammi ko bola .
" Wo Arsal aapse milna chahte hai lekin ghar par nahin kahin bahar " Mumtaz begam ne thore dhire andaz main kaha.
" Lekin kyun ,mtlb use koi kaam hai ,or agar use hamse milna hi hai to use app ghar bola lein na ham yahan mil lenge" Faiza ne ye baat thore sakhti se kaha .
" Wo agar aapse ghar par milna chahte to wo bahar ka bolte hi nahin or aap jaiye na ,aap bahar na mehram se nahin milna chahti thi or ye to aapke shohar hai aapka or unka nikah hua hai " Mumtaz begam ne Faiza ko samjhte hue kaha .
wo jaanti thi ki unki beti ko bahar kisi shaqs se apne maa baap ke baghair milna pasand nahin or abhi wo usi baat ke liye keh rahi hai .
"Lekin hame uske sath apna Samay barbaad karne ka koi shouq nahin hai ,ek kaam kariye aap unse jhoot keh dijiye ki ham hospital main hai " Faiza ne Mumtaz begam se kaha .
Faiza jhoot bolne walo main se nahin thi na hi wo bolti thi phir bhi wo shaks uska itna napasandida tha wo usse na mile uske liye wo jhoot bolne ke liye razi thi .
" Aap jhoot bolne ke liye keh rahi hai hame ,or or waise bhi unhe ye baat pta hai app ne do hafte ke liye chutti li thi or abhi ,ek hafta baaki hai chutti khtm hone ke liye ,to ham jhoot bhi nahin bol sakte hai ,aap unse mil lijiye ga to kya ho jaayega " Mumtaz begam ne Thora samjhate hue kaha.
"Uss shakhs se nafrat hai hame or aap hame keh rahi hai ki ham usse shauk se milne jaaye " Faiza ne thore karwe andaz main bola .
" Apne shauk se na sahi apni ammi jaan ke liye,ab app mana mat kariyega" Mumtaz begam ne use blakmain karte hue kaha.
Unhe pta tha wo apni ammi jaan ki baaton ko nahin tale gi or jaayegi usse Milne .
" 'Bright moon' restaurant abhi se ek ghanta baad mtlb 6 baje ,agar wo Ane main late karega ham uska ek lamha tak intezar nahin karenge use saaf lafzo main keh dijiye ga" Faiza yeh bol kar upar apne kamre main chali gai .
Mumtaz begam ye baat Nazila begam ki batai or or wo fauran razi ho gai.
(IF YOU LIKE MY STORY THEN PLEASE LIKE IT AND FOLLOW MY ACCOUNT ☺️)

Write a comment ...