03

Mohabbat?

Iftar khatam ho gaya tha sab namaz padh kar bahar loan main baithe hue the .

" Faiza beti aap rishta ke liye kya kehti hai ? Apko koi aiteraz hai to app hame bata sakti hai " Nazila begam ne Faiza se pucha .

Faiza kashmakash main par gai wo ha bhi nahin kehna chahti thi or nahjn na kehna chahti thi kyunki uske pure Ghar walo ko bura lagega .

"Ammi jaan jo faisla lengi hamara bhi wahi faisla hoga" Faiza ne apni ammi ki traf dekhte hue kaha .

" Bati ye aapke zindagi ka sabse ahem faisla hai ham aise kaise le sakte hai ,aap jo faisla karenge hamara bhi Raza hoga " Mumtaz begam ne Faiza ko narmi se kaha.

" Hame ye rishta manzoor hai " Faiza ne Thora apne lafzo par zor daal kar kaha .

"Beti aap par koi pressure nahin hai aap ko agar inkaar karna hai to aap wo bhi kar sakti hai " Usman sahab ne apni beti ko samjhte hue kaha .

" Abbu jaan ye ham koi pressure main aakar nahin bol rahe hai ,ye hamara socha samjha faisla hai aap befikar rahen" Faiza ne kaha.

( Faiza POV)

Hame pta hai ammi jaan or abbu jaan kitne khush hai iss rishte ke liye or aaj ya kal to hame nikah karna hi hai to aaj hi kyun na or ammi jaan or abbu jaan ki Raza se hi kyun na .Ham Arsal Bachpan se ek dusre ko jaante hai yun kahe to ham dono ek dusre ke jaani dushman the .

Allah bas hamare iss faisle ko zindagi ka kharab faisla mat banne dena mere maalik .Mere Zindagi ka sabse Aham faisla hai .

Author POV

Sab log yahan nikah ke baat kar rahe the or kahin inn sab se dur ek larkon ka group bike par race kar raha tha .

Sab log apne manzil tak aa gaye the or un sab main se ek larne ke kaha" Yaar Arsal tum fir se jeet gaye" ye koi or nahin Harim tha jo apne dost se haarne ka dukhi mana rana tha

" Arsal Alim koi kaam adhura nahin chorta usmein jeet use hi milti hai " Ye Arsal tha jo Kai saalo baad bhi apne doston se race main jaat gaya ,hamesha ko trah.

" Waise tumhare jaane ke baad hame aaj tak koi aisa Mila hi nahin jo hame race main Hara de " ye Qasim ne kaha .

" Iss pure Pakistan main mujh se accha koi biker ho hi nahin skata " Arsal ne apne bike par baithe hue apne coller sidhi karte hue kaha .

" Waise isme kuch galat bhi nahin hai " iss baar ye Faraz ne kaha.

Ye baat sun kar Arsal muskuraya .

" Waise hame to tumahare bina man hi nahin lagta tha ,or ek tum jo hame kabhi yaad bhi nahin karte the" Qasim ne kaha .

" Tum logon ka to pta nahin par tum logon ke sath race karna yaad aata tha " Arsal ne kaha.

" Waise iss baar Canada kab jaane ka plan hai " Faraz ne pucha .

" Kabhi Lahore main bhi raho ye bhi khubsurat hai ,iski bhi khubsurti dekho" Harim me kaha.

" Iss baar Lahore ko hi dekhne aaya hoon yun kahon to basne aaya hun" Arsal ke aasman ki traf dekhte hue kaha .

" Matlab ab tum kabhi nahin jaaoge Pakistan chor kar " Qasim ne kaha.

" Baad ka to pata nahin abhi to nahin Jaa raha main " Arsal ne kaha.

" Or ye haadsa kyun hoga " Harim ne kaha.

" Ye tumhe haadsa lag raha hai, main yahan rahunga to " Arsal ne use halke se maarte hue kaha.

" Nahin par ye kuch alag hai ,matlab tum aise to yahan nahin rukoge ,kaaran kya hai "Harim ne kaha.

" Main nikah kar raha hun" Arsal ne kaha .

Uske saare dost usse dekhte hi reh gaye ,jaise un logon ne kya sun liya.

" Saalo ,tum log mujhe aise kyun dekh rahe ho " Arsal ne chidhte hue kaha.

" Astagfirullah,main kya galat sun liya ,maine suna tum nikah kar rahe ho ,I am sorry maine aisa suna" Faraz ne chokkar kaha .

" Tumne bhi wahi suna maine bhi same suna ,pta nahin kya ho gaya hai hame" Harim ne Faraz ko kaha.

" Tum sab ne sahi suna hai ,main nikah kar raha hun,or wo bhi Pakistan main hi" Arsal ne kaha.

" Lagta hai saara mazak aaj hi karna hai ise " Qasim ne kaha.

" Main mazak nahin kar raha hun , tum logon ki kasam " Arsal ne kaha.

" Jhootha Kasam khana kitna bara gunah hai pta bhi hai " Faraz ne kaha.

" Ha pta hai ,par main jhoot nahin bol raha hun main sach main NIKAH KAR RAHA HUN" Arsal ne Thora chilla kar kaha.

" Or kisse " Harim ne kaha.

" Faiza Usman se" Arsal ne kaha.

Sab dost usse dekhte hi reh gaye ,kyunki wah jis shakhs se sabse jyada chidhta tha wo usse nikah kar raha hai .

" You are not serious bro,tum or Faiza nikah na it can't possible" Qasim ne kaha .

" Ha main or Faiza nikah kar rahe hai ,waise uska nahin pta usne ha kaha hai ya nahin ,par meri traf se ha hai ". Arsal ne kaha.

" Mohabbat karte ho usse" Faraz ne thori narmi se pucha .

" Mohabbat or main wo bhi uss Faiza se na never,apne bure khwab main bhi nahin " Arsal ne thori karwi lehze main kaha.

Uske sab dost thore tension main aa gaye ,ye sochkar ke agar ye usse mohabbat nahin karta to nikah kyun kar raha hai .

" To nikah kyun kar rahe ho" Harim ne pucha.

" Kyunki usme jitni bachpan main mera mazak banaya ha na uska badla lene ke liye,or kuch jyada nahin " Arsal thori muskan ke sath kehta hai .

"Tujhe nahin lagta ,tu galat kar raha hai apne sath bhi kr uske saath bhi" Faraz ne kaha .

" Bilkul bhi nahin ,bas wo inkar na kare " Arsal ne jawab diya

" Allah mere inkar kar de " Faraz ne kaha.

" Nahin karegi inkaar dekhna ,tumhara dua qubool nahin hoga" Arsal ne kaha.

.......

Write a comment ...

hideworld

Show your support

Just deal with my imagination 😉

Write a comment ...