Wasim sahab or Nazila begam ke aane ka paigam pohoch gaya or ghar main sab unke tashrif laane ka intezar kar rahe the tab hi Haji sahab ke traf Faiza jaakar bolti hai
" Dada jaan Abbu ko samjhaye na hame abhi nikah nahin karna abhi hamari doctor ki padhai bhi puri nahin hui hai "
Haji sahab apni poti ki traf dekh kar bolte hai " Agar aapko nahin karna to ham bhi dekhte hai kon aapki zabardasti nikah karwata hai . Abhi ke liye aap bas in logo se mil lijiye baad main inkar kar dijiyega "
Haji sahab ki baat sunkar Faiza ke chehre par bari si muskan aa gai yeh sochkar ki koi to ghar main hai jo Faiza ke sath main hai .
Or yahan Wasim sahab or Nazila begam bhi aa gai thi.
(Faiza POV)
Chacha jaan or chachi jaan to dikh rahi hai ye Arsal kahan hai .
Waise hame shadi main abhi koi interest nahin hai abhi, ham abhi bas apna padhai pura karna chahte hai .
" Arsal bete nahin aaye" ye lijiye meri ammi jaan ka sawal . Waise jaanna to ham bhi chahte hai kahan hai wo .
" Ji bhabhi wo apne doston ke saath iftar par gaya hai " Chachi jaan ne kahan .
Acche se pta hai hame ki kin dosto ke saath gaya hoga. Uske social media par itne saare updates hai ki koi bhi shaks uske baare main pta kar le .
Or wahi hamne bhi kiya jab hame ammi jaan ne bataya ki hamara rishta lekar Abbu ke dost aa rahe hai or wo bhi Arsal ka hamne usi waqt uske baare main pta kiya tha or yun kahon to acche se pta bhi chal gaya .
"Faiza beti aapko iftar nahin karna " Meri choti ammi ka aawaz hame hamare khayalo se wapas laaya .
Ham aakar dastarkhan par baithe or aazan ki aawaz sunkar hamne dua padhi or roza khola .

Write a comment ...