Ramzan ka mahina, asar ka waqt tha saari ghar ki aurtein ghar main or ghar ke mard masjid main namaz padh rahe the .
Namaz mukammal hua or ghar ki aurtein iftar banane main lag gai or mard abhi tak masjid se nahin aaye the .
Ek akele kamre main ek ladki musallah par tasbih par astagfirullah padh rahi thi or uski nazar baar baar uske kamre ke darwaze par atka hua tha jaise wo intezar kar rahi thi kisi ka .
Ghar ke mard bhi namaz padh kar aa gaye the or fal kaatne lag gaye the iftar ke liye chand hi ghante reh gaye the .
"Abbu " ek ladki ne sidhiya utarte hue kaha .
Teen mard baithe hue the unmein se ek upar nazar uthakar dekhte hai or kehte hai
" Kya hua Faiza beti"Usman sahab ne apni beti ki traf dekhte hue kaha .
" Abbu abhi hame nikah nahin karna . Ammi ne hame bataya aapke dost hamare liye aa rahe hai apne bete ka rishta le kar. "Faiza ne sofe par baithte hue kaha .
" Lekin Faiza wo log acche log hai or ham ek dusre ko jaante hai or aap or Arsal bhi ek dusre ko jaati hai tab rishta se inkaar kyun " Usman sahab ne apni beti se pucha or kata fal rakhne kitchen main chale gaye .
Tab Faiza khari hokar thore gusse ke lahze main ,kitchen main jaakar boli " wo log acche log hai to kya hua mujhe abhi shadi hi nahin karna abhi main kitni choti hun or app hamari shadi karwane main lage hue hai "
Uski baatein sunkar Mumtaz begam apne shohor ki traf ishara karte hue kehti hai " ye dekhein apni sahab zadi ko wo choti hai inhe inke Umar yaar dilaye " yeh kehkar Mumtaz begam apni beti Ki traf ghoom kar usse kehti hai .
"Faiza beti aapko ye bata dein ham ki aap agle maah 25 ki ho jaayengi . Ab app bachi nahin rahin jo har baat par nakhre kare . Or Wasim sahab or Nazila bhabhi aaj apne bete Arsal ke saath hamare yahan iftar par aa rahin hai so aap pahle unse mil lijiye tab uske baad aap kuch bhi faisla kijiye "
Ye baat sunkar Faiza ka gussa to saatvein aasman par pohoch gaya or boli
" Hamare rishte ka baat ho raha hai or aap hame hi chup Kara rahin hai or aapne chacha jaan ko or chachi jaan ko iftar par dawat kiya hai or app hame abhi bata rahe hai or jahan tak baat rahi Arsal se milne ki to ham usse Bina dekhe hi inkaar karte hai "
woh ye bol kar wahan se rawana ho hi rahi thi tab hi gari ka horn bajta hai jo iss baat ka saboot hai ki Wasim sahab or Nazila begam apne bete ke saath tashrif le aai hai .
Yeh sunkar Mumtaz begam unka izzat aabru karne ke liye kitchen se baahar aati hai or iftaar main bhi chand lamhe hi rah gaye the to iftar bhi ban chuka tha .
Faiza bhi wahan hi khari reh gai unko dekhne ke liye

Write a comment ...